Friday, June 19, 2009

A Sudden point of view..lot many yrs back



Main amrit nahi jise chhoote hi..ajar amar tum ho jaao,
main kundan nahi..swarn nahi jiski aabha mein kho jaao,
Main nahi chandrama jiski sheetalta per mohit ho jaao..
main nahi gagan..jiska vistrit aakaar dekh kar kho jaao.
Main geeton ka aadhaar nahi..kawitaaon ka unmaad nahi,
Sukh ki meethi muskaan nahi..dukh mein aansu ki dhaar nahi.
main nahi chaandni..raaton ki,naa main prabhaat ka ujiyaara.
main nahi preyasi khwabon ki,,jisper tumne jeewan wara.

..Mat meri taareef karo.
Mat meri taareef karo,
na mujh per geet ghazal gaao,
na mujh per sab khushiyaan waaro..
naa hi palkon per baithaao !!!

Bus..
Jag janani hone ka thoda sa sammaan mujhe de do,,
Ek behen hone ka thoda sa abhimaan mujhe de do,,
Zara pyar se bitiya keh..mujhse bhi aashaayen baando,,
Mujhe dekhti hui nazar mein..bus mujhe Izzat de do !!!
..Bus mujhe izzat de do..


---- This poem in which ever competition in whichever state, i submitted,Luckily.. has brought me the First award..

-- Just an Emotion.

2 comments:

  1. Tujhse hi amrit hai, tu hi kundan hai, swarn ki aabha bhi tu hi hai,
    Chandrama ki kalaaon me tera hi aks hai, gagan ka vistar tere aanchal me hai
    Geeto ka astitva tujhse hai, kavitaon me unmaad tujhse hi hai
    Sukh ki muskan, dukh ke aansu- sab tere hi roop hain,
    Chandni-prabhat teri palko se hain,
    Preyasi, priyatama, parinita tu hi hai
    Bas...
    Khud ko pahchan!

    ReplyDelete
  2. a great step to be a great blogger. U are welcome.

    ReplyDelete