--This composition is based on the social scene of Old age Citizens.--
Ye jhaarh dekhte ho na tum.. ???
Iss mein bhi jeevan tha ek din.
Uss waqt hawaao ke jhokon se..
Isske patte hilte thae,,
Aur apni hariyali se,
Isske kaanton ko dhak lete thae.
Par aaj padi jo dhoop..
suhaani iski kaaya jhulas gayi,,
Sookh gayi kaliyon ki chaadar..
Aur ubhar aaye..Kante !!
Par Dekho..???
Dekho ye aaj bhi tumhari bagiya ki,,
Rakhwali karta hai.
Ek hara rang hi nahi,,
..aur sab kuchh toh hai iss jhaad mein.
Zara pyar se sehlao,,
Ye phir se sihar uthega.
Zara lutao apnapan,,
Ye phir se panap uthega.
nice one
ReplyDelete