Monday, February 14, 2011

Khareedna hai

Khareedna hai
Kya?
Makaan.
Jismein hum reh sakein.
Humein aata hai makaan ko
ghar banana,
Bana lenge hum.
Kisi bhi keemat per
khareed lenge makaan
dene waala toh ho.
Dene wale se bada koi nahi
Lekin Hum aise muft mein nahi lete
Khareedte hain bass:
Sab kuchh khareedte hain
maangte nahi.
Kyuki jaante hain
Maangne se kuchh bhi
Milta nahi.

No comments:

Post a Comment