Gayi diwali
Ab kya karna diyon ka ?
Baahar rakh do inhein
purane ho gaye hain ye diyae
Dete dete !
Ujaala.
Mitti ke hi toh hain na
Aisa kya khaas hai,
Phir le aayenge
Baazaar se.
Saste mil jaate hain !
Tyoharon mein roshni kar jaate hain
Abhi inki zaroorat filhaal Nahi.
Monday, February 14, 2011
Dawa nahi, Daawaa
Bitiya dawa mili ki nahi?
Nahi.
Kyun?
Waheen toh rakkhee thi !
Kal dekhi thi
Aaj nahi hai.
Aaj marz theek ho gaya hai
Dawa nahi chaahiye tabhi toh.
Daaawaa chaahiye
ki ham sab ka marz bhi
ek din theek ho kar hi rahega.
Ho jayega.
Nahi.
Kyun?
Waheen toh rakkhee thi !
Kal dekhi thi
Aaj nahi hai.
Aaj marz theek ho gaya hai
Dawa nahi chaahiye tabhi toh.
Daaawaa chaahiye
ki ham sab ka marz bhi
ek din theek ho kar hi rahega.
Ho jayega.
Sab mil jata hai
Yaheen reh jaayenge hum
aapko kyun takleef denge ?
Kyunki hum nahi dete, woh deta hai
Sab kuchh.
Jo hum maangte hain
Jab hum maangte hain
Jahaan bhi hum maangte hain
Jaise bhi maangte hain
Per aksar ham Maangte nahi
Khud-b-khud mil jata hai
Sab.
Apne aap.
aapko kyun takleef denge ?
Kyunki hum nahi dete, woh deta hai
Sab kuchh.
Jo hum maangte hain
Jab hum maangte hain
Jahaan bhi hum maangte hain
Jaise bhi maangte hain
Per aksar ham Maangte nahi
Khud-b-khud mil jata hai
Sab.
Apne aap.
Khareedna hai
Khareedna hai
Kya?
Makaan.
Jismein hum reh sakein.
Humein aata hai makaan ko
ghar banana,
Bana lenge hum.
Kisi bhi keemat per
khareed lenge makaan
dene waala toh ho.
Dene wale se bada koi nahi
Lekin Hum aise muft mein nahi lete
Khareedte hain bass:
Sab kuchh khareedte hain
maangte nahi.
Kyuki jaante hain
Maangne se kuchh bhi
Milta nahi.
Kya?
Makaan.
Jismein hum reh sakein.
Humein aata hai makaan ko
ghar banana,
Bana lenge hum.
Kisi bhi keemat per
khareed lenge makaan
dene waala toh ho.
Dene wale se bada koi nahi
Lekin Hum aise muft mein nahi lete
Khareedte hain bass:
Sab kuchh khareedte hain
maangte nahi.
Kyuki jaante hain
Maangne se kuchh bhi
Milta nahi.
Jot se Jot Jalate chalo
Ek ne kaha'Jot se Jot Jalate chalo
Prem ki ganga bahate chalo'
Prem ki ganga
Ham ganga ki pooja karte hain
lekin prem?
Kisae karte hain?
Sangati se.
Hamari Sangati hamare jaise
deepakon se banti hai, jo khud
jalkar doosro ko prakash dete hain.
Tabhi toh yaad hai,
''Jot se jot jalate chalo''
Prem ki ganga bahate chalo'
Prem ki ganga
Ham ganga ki pooja karte hain
lekin prem?
Kisae karte hain?
Sangati se.
Hamari Sangati hamare jaise
deepakon se banti hai, jo khud
jalkar doosro ko prakash dete hain.
Tabhi toh yaad hai,
''Jot se jot jalate chalo''
I think 'Yes'
We say'keep yourself fit'
I am fit
I think Yes.
If you have doubts for me,
tell me
I ll clarify you.
As you know me,
I am ever that way.
I think you know me
I think Yes.
I am fit
I think Yes.
If you have doubts for me,
tell me
I ll clarify you.
As you know me,
I am ever that way.
I think you know me
I think Yes.
Deepak Talae Andhera
Ek ne kaha"deepak talae andhera"
Doosre ne kaha "Andhere mein wahi hain jo dabae hue hain"
Kaun daba hai?
Main ya Aap?
Main jaanti hoon,koi nahi
Sab uthae hue hain
Khud mein, Apne aap mein
Phir andhere ki shikaayat
Deepak se kyun?
Woh bhi utha hua hi hai
Hamari tarah
Woh bhi mazboot hai
hamari tarah
Usae kya pata
ki usmein andhera bhi chhipa hua hai ..
Doosre ne kaha "Andhere mein wahi hain jo dabae hue hain"
Kaun daba hai?
Main ya Aap?
Main jaanti hoon,koi nahi
Sab uthae hue hain
Khud mein, Apne aap mein
Phir andhere ki shikaayat
Deepak se kyun?
Woh bhi utha hua hi hai
Hamari tarah
Woh bhi mazboot hai
hamari tarah
Usae kya pata
ki usmein andhera bhi chhipa hua hai ..
Subscribe to:
Posts (Atom)